murattab aur bhi ek goshwara ho raha hai

By irfan-sattarOctober 31, 2020
murattab aur bhi ek goshwara ho raha hai
to kya hai gar abhi hum ko khasara ho raha hai
hamare pas to hum se ziyaada tu nahin tha
so tu kya ab to khud se bhi kinara ho raha hai


hamare khwab mein ahmiyat-e-shab thi ziyaada
so ab wo khwab aankhon mein sitara ho raha hai
tumhaari aarzu hone se pahle bhi to hum the
guzara ho raha tha so guzara ho raha hai


haya-alud aankhen hain na aanchal hai na chilman
ye kis viran duniya ka nazara ho raha hai
abhi hum faisla karne ki ujlat mein nahin hain
magar lagta hai jine se khasara ho raha hai


khala se is zamin par sang-rezo ki ye barish
kisi jaanib se kya koi ishaara ho raha hai
79610 viewsghazalEnglish