muskurane se muddaa kya hai

By syed-hamidNovember 22, 2020
muskurane se muddaa kya hai
kah rahe hain tumhein hua kya hai
pairahan adl ka pahan aai
kaun mazlum hai jafa kya hai


shikwe ke nam se hi barham hain
ye nahin puchhte gila kya hai
dal di jis ke hausle ne sipar
wo tunak-arzu jiya kya hai


khidmat-e-bandagan-e-haq ke siwa
is kharabe mein kimiya kya hai
sadgi mein hazar purkari
bankpan mein chhupa hua kya hai


izzat-e-nafs rakh sako mahfuz
aur is ke siwa dua kya hai
saf do-pat aasman-o-zamin
dana ghafil hai aasiya kya hai


46462 viewsghazalEnglish