na puchh dost ki kitna KHarab hota hai

By dipak-prajapati-khaalisOctober 29, 2020
na puchh dost ki kitna kharab hota hai
bas itna jaan zamana kharab hota hai
ye ishq hai na jo ye dil ki ek kharabi hai
kharabiyon ka natija kharab hota hai


ajab mizaj ki duniya hai ye ki is ke liye
kharab achchha to achchha kharab hota hai
huzur chhodiye ye amn-o-wamn ki baaten
siyasi logon ka dhanda kharab hota hai


koi kisi bhi samay jhat se tod sakta hai
umid sab se lagana kharab hota hai
sharab paisa ana khwab ishq ya ki sukhan
kisi bhi shai ka ho nashsha kharab hota hai


udas mat ho miyan hai ye imtihan-e-zist
is imtihan mein parcha kharab hota hai
37042 viewsghazalEnglish