nae sire se phir aaj kaifi hum apni duniya basa rahe hain

By abdur-rasheed-khan-kaifi-mahkariOctober 22, 2020
nae sire se phir aaj 'kaifi' hum apni duniya basa rahe hain
jo kho chuke us se be-khabar hain jo rah gaya wo luta rahe hain
nashat-e-imroz ki qasam hai ki dil ne sab mahfilen bhula din
diye the mazi ne dagh jitne wo khud-ba-khud mitte ja rahe hain


khusha ye daur-e-shabab un ka ye dil-nawaz iltifat un ka
ki be-piye aaj har qadam par mere qadam ladkhada rahe hain
udhar nazar hai idhar nazar hai kuchh apni ruswaiyon ka dar hai
jhijak rahe hain thithak rahe hain magar meri samt aa rahe hain


haya ne go jurat-e-takallum zaban se chhin li hai lekin
wo aankhon aankhon hi mein bahut kuchh suna chuke aur suna rahe hain
shabab hai aur shadmani bahaar hai aur kaamrani
bane hain sarshaari-e-mujassam mujhe bhi wo khud bana rahe hain


78658 viewsghazalEnglish