nashe mein sahwan kar li tauba

By muneer-shikohabadiNovember 9, 2020
nashe mein sahwan kar li tauba
aisi bholi ilahi tauba
haj mein jab yaad aain wo aankhen
taq-e-haram par rakh di tauba


waizon se rindon mein aai
phirti hai bahki bahki tauba
qasmen kha kar phir se pina
munh ka niwala thahri tauba


dam mein phansa mauja-e-mai ne
ek jhatke mein tuti tauba
bahr-e-gunah se par utara
kashti-e-rahmat thahri tauba


pi ke 'munir' ab baada-e-kausar
mast hui hai meri tauba
50644 viewsghazalEnglish