nashshe mein jo hai kohna sharabon se ziyaada

By farigh-bukhariOctober 30, 2020
nashshe mein jo hai kohna sharabon se ziyaada
us jism ki khushbu hai gulabon se ziyaada
ek qatra-e-shabnam ko taraste hain gulistan
ye fasl to mumsik hai sarabon se ziyaada


padhna hai to insan ko padhne ka hunar sikh
har chehre pe likkha hai kitabon se ziyaada
pahuncha hun wahin par ki chala tha main jahan se
hasti ka safar bhi nahin khwabon se ziyaada


ye bikhri hui zindagi yakja nahin hoti
kam hone pe bhi hum hain kharabon se ziyaada
'farigh' kabhi ghatti hi nahin dard ki daulat
hoti hai hamesha ye hisabon se ziyaada


62854 viewsghazalEnglish