nawa-e-dil ne karishme dikhae hain kya kya

nawa-e-dil ne karishme dikhae hain kya kya
meri azan ne namazi jagae hain kya kya

jamal-e-yar teri aab-o-tab kya kahiye
nazar nazar pe qadam dagmagae hain kya kya

ada-e-naz ko andaz-e-dilbari samjhe
fareb ahl-e-mohabbat ne khae hain kya kya

zamin zamin na rahi aur falak falak na raha
maqam-o-waqt bhi gardish mein aae hain kya kya

wo teri shokh-nigahi wo teri khanda-labi
dil-e-gharib pe charke lagae hain kya kya

kabhi khulus-e-mohabbat kabhi gurez-o-farar
bana bana ke muqaddar mitae hain kya kya

kabhi to dekh ki meri tabah-haali par
hayat-o-maut ne aansu bahae hain kya kya

hai aaj khun-e-tamanna to kal ummid ki maut
dil-e-hazin ne janaze uthae hain kya kya

nigah-e-'qais' teri dastaras ko man gae
kahan kahan se mazamin churae hain kya kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close