nazar nahin to faqat bankpan se kya hoga

nazar nahin to faqat bankpan se kya hoga
watan mein aaj purane chalan se kya hoga

baghair ishq kisi anjuman se kya hoga
fasurda-dil ko bahaar-e-chaman se kya hoga

abhi to ishq ko talwar bhi uthani hai
mahakti zulf gulabi badan se kya hoga

jidhar bhi dekhiye mansur o ibn-e-mariyam hain
kisi ke shewa-e-dar-o-rasan se kya hoga

yahi ki aur bhi ruswa karenge insan ko
mizaj-e-shaikh-o-dil-e-barahman se kya hoga

tapak raha hai har ek phul ki jabin se lahu
zaban pe zikr-e-bahaar-e-chaman se kya hoga

andheri raat mein raaton ko pujne walo
ye dekhna ki sahar ki kiran se kya hoga

nigah-e-waqt badi be-niyaz hoti hai
jabin-e-gham-zada o pur-shikan se kya hoga

adab ko chahiye khun-e-dil-o-jigar 'saifi'
nagina-sazi-e-arbab-e-fan se kya hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close