paDh rahe the wo lab-e-hur hamara qissa

By faiz-khalilabadiOctober 29, 2020
padh rahe the wo lab-e-hur hamara qissa
yun hi thodi hua mashhur hamara qissa
sirf ek aib nikala tha ghalat-fahmi ne
ho gaya hum se bahut dur hamara qissa


aagin yaaden teri hath mein marham le kar
jab bhi banne laga nasur hamara qissa
hum wo jugnun hain kisi waqt kisi se sun kar
ro padi thi shab-e-dijur hamara qissa


khamushi ne unhen honton pe kiya apna qayam
yaad jin jin ko tha bharpur hamara qissa
'faiz' jo ped lagaya hai adab ka hum ne
jari rakhega ba-dastur hamara qissa


29647 viewsghazalEnglish