paiman wafa ke bandh ke jaane kidhar gaya

paiman wafa ke bandh ke jaane kidhar gaya
sahra-e-hijr mere liye ban bhanwar gaya

meri nigah-e-sharmagin jhukti chali gai
us ka bhi shauq-e-mehr-o-wafa pur-asar gaya

ek shokh si nigah jo rukh pe jami rahi
aariz pe ek hasin sa ghaza utar gaya

us ki kitab-e-shauq ka sada waraq thi main
mera bhi ishq dekh ke us ko sanwar gaya

manzil ki chahaton mein qadam raqs mein rahe
be-kar umr-e-raegan ka ye safar gaya

chhaya tha mehrban sa baadal jo dhup mein
mauj-e-saba jidhar gai wo bhi udhar gaya

kuchh sham se lipat ke 'shafaq' yun juda hui
lagta tha ab ke hath se dil ka nagar gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close