pate hain muddaa ko gham-e-muddaa se hum
By maikash-akbarabadiSeptember 4, 2022
pate hain muddaa ko gham-e-muddaa se hum
sarshaar hain tamanni-e-be-iltija se hum
ab jis pe chahen rakh den wo ilzam-e-mai-kashi
hai mast hum se un ki ada aur ada se hum
begangi ne teri diya hosh-e-ghairati
sabit hue hain kis sitam-e-na-rawa se hum
baithe rahe wo khun-e-tamanna kiye hue
dekha kiye unhen nigah-e-iltija se hum
tera shabab hai gham-e-ulfat ki ibtida
yani hue shurua teri intiha se hum
ab kis se ja ke un ki shikayat bayan karen
un se bhi pahle ruth chuke hain khuda se hum
aazad hai alaeq-e-rasm-o-riwaj se
'maikash' ko jaante hain bahut ibtida se hum

21111 viewsghazal • English