payam le ke jo paigham-bar rawana hua

By bekhud-badayuniOctober 28, 2020
payam le ke jo paigham-bar rawana hua
hasad ko hila mila ashk ko bahana hua
wo meri aah jo sharminda-e-asar na hui
wo mera dard jo minnat-kash-e-dawa na hua


khayal mein na rahin suraten azizon ki
watan se chhute hue is qadar zamana hua
wo dagh jis ko jagah dil mein di thi jite-ji
charagh bhi to hamare mazar ka na hua


pari-washon ko sunate hain qissa-khwan 'bekhud'
hamara haal na thahra koi fasana hua
80381 viewsghazalEnglish