phaili hain chaar su mere kyunkar udasiyan ek bahr-e-be-aman hai ye banjar udasiyan khushiyon ke chaar pal bhi agar mil gae to kya rahti hain meri zat ka mehwar udasiyan us shokh ko khabar do main aisi nahin magar jaane kyun aaj-kal hain ye dilbar udasiyan khushiyon ki sarzamin hamein ras hi na thi phir pa rahe hain khud mein ye kho kar udasiyan ek zabt tha ki dasht mein koi jama pahad kitni subuk-khiram hain ro kar udasiyan