phiri hai kyon nigah-e-dilruba nahin malum

By munshi-thakur-parsad-talibMay 7, 2022
phiri hai kyon nigah-e-dilruba nahin malum
hai is ada mein bhi kis ki qaza nahin malum
gulon se kis liye bigdi saba nahin malum
chali ye bagh mein kaisi hawa nahin malum


tumhin pe apni hayat-o-mamat ka hai madar
hamein to aur kuchh is ke siwa nahin malum
talab wo karte hain aaina khair ho ya-rab
bala ye laega kya dusra nahin malum


tumhaari zulfen hain be-tarah raat se bal par
karengi kis ko asir-e-bala nahin malum
jalae hasti-e-ashiq ko ye wo shoala hai
kuchh un ko shokhi-e-rang-e-hina nahin malum


hamare samne yaksan hai rutba-e-rukh-o-zulf
hamein tafawut-e-subh-o-masa nahin malum
sawal bosa tak un se kiya na hum ne kabhi
wo kis khata pe hain hum se khafa nahin malum


bana mazar bhi apna to tere kuche mein
meri wafa tujhe kya be-wafa nahin malum
jo rah puchho to kahte hain rah-rawan-e-adam
bataen kya hamein khud rasta nahin malum


hamara haal bhi hairat-faza hai ai hamdam
ki ashk jari hain aur majra nahin malum
khushi ye hai ki wo kahte hain qatl kar ke mujhe
saza to di hai wale kuchh khata nahin malum


mariz-e-hijr se zid hai mere masiha ko
wagarna kya use is ki dawa nahin malum
mumanat hai jo 'talib' ko but-parasti ki
bina-e-kaba tujhe shaikh kya nahin malum


77786 viewsghazalEnglish