qahqahe ki maut hai ya maut ki aawaz hai siskiyan leta hua ab zindagi ka saz hai ek saya ladkhadata aa raha hai is taraf dekhiye to ek haqiqat sochiye tu raaz hai ret mein munh dal kar sanson ka us ka rokna chand sikkon ke liye bachcha bada jaanbaz hai soch ki manzil kahin hai aur aankhen hain kahin jaanta hun kis mein kitni quwwat-e-parwaz hai de raha wo dilase kyun jafa karne ke baad chahta hai mujh se kya kaisa mera hamraaz hai kis tarah hoga bayan haal-e-dil-e-bimar ab aasman barham hai aur khamosh chaarasaz hai daur aaya hai ajab 'anjum' yahan hoshyar-bash zagh hai makhdum aur khadim yahan shahbaz hai