quran kitab hai rukh-e-jaanan ke samne mushaf utha lun sahab-e-quran ke samne jannat hai gard kucha-e-jaanan ke samne dozakh hai sard sina-e-sozan ke samne sakta abhi ho ruh-e-sikandar ko sharm se aaina aae gar tere hairan ke samne bahr-e-ummid gar use phailaun su-e-yar daman-e-dasht tang ho daman ke samne dast-e-junun se wo bhi na wahshat mein bach saka parda jo kuchh raha tha gareban ke samne mashshata ho aziz-e-zulekha agar wo lae is mehr-e-misr ko mah-e-kanan ke samne nadan kah rahe hain jise aaftab-e-hashr zarra hai us ke ru-e-darakhshan ke samne dam band us latode ki jurat ne kar diya karta hai rez bulbul-e-bustan ke samne diwar surkh khun se dekhi pata mila qasid thahar gaya dar-e-jaanan ke samne kahte hain roz-e-wasl jise past-hausla be-qadr hai meri shab-e-hijran ke samne taqrir dil jalati hai sunne se ai 'surur' aata hai kaun mujh sharar-afshan ke samne