raat apni thi khwab apna tha sath mere nisab apna tha pas apne thi baadshahi bhi har jagah mahtab apna tha raushni bhi khilaf hai ab to han kabhi mahtab apna tha sare manzar hi ho gae ghaeb aankh apni sarab apna tha sari khushiyan thin aap ki jaanib gham magar be-hisab apna tha ban ke aankhon mein aks jaga hai jo kabhi ham-rikab apna tha