rag rag mein meri phail gaya hai ye kaisa zahr
By shahid-mahuliNovember 18, 2020
rag rag mein meri phail gaya hai ye kaisa zahr
kyun dubne laga hai dhundlakon mein sara shahr
mujh ko jhinjhod deti hain lamhon ki aahaten
uthti hai mere jism mein ek bebasi ki lahr
ye shab mere wajud pe yun tut padti hai
jaise koi bala ho ki aaseb ho ki qahr
phuta na muddaton se koi chashma-e-umid
sukhi padi hui hai meri khwahishon ki nahr
chehre pe waqt ki main siyahi mala karun
mujh ko bhi kuchh mila hai mashiyyat se kar-e-dahr

23239 viewsghazal • English