rah KHamosh rahbar KHamosh

rah khamosh rahbar khamosh
karwan lut gaya safar khamosh

waqt padne pe har nazar khamosh
dard badhne pe chaaragar khamosh

khana-e-dil mein hu ka aalam hai
aur diwar-o-baam-o-dar khamosh

kaisi ab ke bahaar aai hai
bulbulen chup to hain shajar khamosh

haal-e-dil kab hai us se poshida
jaan kar bhi hai wo magar khamosh

husn-e-fitrat ka bolta manzar
kar gaya mujh ko kis qadar khamosh

kyon musalsal sitam uthae koi
kyon rahe koi umr bhar khamosh

jhelte jhelte azab yahan
ho gae 'naz' ghar ke ghar khamosh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close