rah mein kanTe meri bote rahe
By begum-sultana-zakir-adaOctober 5, 2021
rah mein kante meri bote rahe
kyon sitam ijad ye hote rahe
doston ke bhes mein sayyaad the
dosti ka bhi bharam khote rahe
chaar tinkon ka mera tha aashiyan
bijliyan girti thin hum rote rahe
dushmani kya mujh se thi ai aasman
ghar mera jalta tha wo sote rahe
aasman wale bhi hairan the magar
dekh kar wo dam-ba-khud hote rahe
hum ko bhi apni khudi par naz tha
chup rahe aur imtihan hote rahe
kyon sitam ijad ye hote rahe
doston ke bhes mein sayyaad the
dosti ka bhi bharam khote rahe
chaar tinkon ka mera tha aashiyan
bijliyan girti thin hum rote rahe
dushmani kya mujh se thi ai aasman
ghar mera jalta tha wo sote rahe
aasman wale bhi hairan the magar
dekh kar wo dam-ba-khud hote rahe
hum ko bhi apni khudi par naz tha
chup rahe aur imtihan hote rahe
82367 viewsghazal • English