rahat-e-nazar bhi hai wo azab-e-jaan bhi hai

rahat-e-nazar bhi hai wo azab-e-jaan bhi hai
us se rabt-e-lazzat bhi aur imtihan bhi hai

fasle mite bhi hain aur kuchh badhe bhi hain
ye safar zaruri hai aur raegan bhi hai

umr-bhar ki uljhan de ek pal ka nazzara
tera gham haqiqat bhi aur be-nishan bhi hai

teri mithi baaton mein jhil jhil aankhon mein
aag bhi sulagti hai dard se aman bhi hai

tai karen to hum kaise fasle dil-o-jaan ke
ek ye ana ka pul apne darmiyan bhi hai

lakh main tujhe bhulun lakh tu mujhe bhule
ek rishta-e-benam apne darmiyan bhi hai

ishq-e-dil mein tughyani barf barf honton par
sar-phiri bhi hai chahat aur be-zaban bhi hai

teri zindagi sargarm meri zindagi uljhan
raqs mein bhi hai khwahish aur sargiran bhi hai

'sham' jaane kyun hum ne si liya hai honton ko
warna apne hathon mein waqt ki inan bhi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close