rahguzar-bashon ko sae ki bhi kya hajat nahin
By ameer-raza-mazhariOctober 24, 2020
rahguzar-bashon ko sae ki bhi kya hajat nahin
puchhte hain aalam-e-nau tere meamaron se hum
kya khabar thi aa ke manzil par wo hoga chaak chaak
jo bacha lae the daman rah ke kharon se hum
jaise saya bhi gunahon ka nahin hum par pada
kis qadar daman-kashida hain gunahgaron se hum
dam na lenge jab talak ye samne se hat na jaen
takkaren lete rahenge unchi diwaron se hum
aap gham-khwari ki zahmat mat gawara kijiye
iltija karte hain ab ye apne gham-khwaron se hum
apni nadari se khud apni nazar mein hain subuk
is qadar marub hain daulat ke ambaron se hum
ho rahe hain hausle pure mashiyyat ke 'raza'
le rahe hain baj mehr-o-mah se taron se hum

49405 viewsghazal • English