rahin-e-wardat-e-dil hai nayyar shaeri apni

By mustafa-husain-nayyarJanuary 21, 2022
rahin-e-wardat-e-dil hai nayyar shaeri apni
murattab kar raha hun main ghazal mein zindagi apni
jhuki hai pa-e-jaanan par jabin-e-ashiqi apni
mata-e-din-o-iman ban gai hai kafiri apni


na ab wo ahd-e-rangin hai na ab wo zindagi apni
labon tak aate aate laut jati hai hansi apni
badi azmat ki hamil hai sharab-e-ashiqi apni
mai-o-mina pe chhai jati hai pakizgi apni


nigah-e-yar ka tarz-e-takhatub aah kya kahiye
khabar hone na pai aur duniya lut gai apni
yahi masrur nazren jin mein duniya-e-masarrat hai
inhin masrur nazron ne masarrat lut li apni


udhar hai kufr nazan is taraf iman nazan hai
ye kis ke aastan par hai jabin-e-bandagi apni
zara tu bhi to dekhe dil pe kya aalam guzarta hai
ata kar de meri nazron ko ek din barhami apni


63431 viewsghazalEnglish