rang jazbaat mein bhar jaane ko ji chahta hai

By niyaz-husain-lakhweraNovember 11, 2020
rang jazbaat mein bhar jaane ko ji chahta hai
kaam ek pyara sa kar jaane ko ji chahta hai
dasht-e-tarik to ek umr hui chhan liya
ab to suraj ke nagar jaane ko ji chahta hai


ruh mein khwahishen itni hain ki jina chahun
karb itna hai ki mar jaane ko ji chahta hai
khauf-e-ehsas-e-nadamat ko mitane ke liye
raat dhal jae to ghar jaane ko ji chahta hai


dard rag rag mein kuchh is tarah utar jata hai
zindagi se bhi mukar jaane ko ji chahta hai
shayad is tarah mile apni haqiqat ka suragh
aap apne mein utar jaane ko ji chahta hai


85517 viewsghazalEnglish