rang-o-bu ban ke bahar-gam bikharna hoga tujh ko virane se ai dost guzarna hoga zindagi gardish-e-dauran se pareshan hi sahi meri khatir tumhein ai dost sanwarna hoga yun na badlega ye mai-khana-e-geti ka nizam dil ko aamada-e-takhrib bhi karna hoga ab to shabnam bhi nahin hisse mein kuchh ghunchon ke un ko khud apna lahu pi ke nikharna hoga sarf kar dunga har ek qatra lahu ka apne rang-e-taswir gulistan mein jo bharna hoga aaj hai saz-e-takhayyul pe nazar 'mutrib' ki lahn-e-afkar ko phir aaj sanwarna hoga