rang-o-bu kuchh bhi nahin hai rang-o-bu ke darmiyan

By nazeer-azadSeptember 28, 2023
rang-o-bu kuchh bhi nahin hai rang-o-bu ke darmiyan
khel hai sara faqat mere lahu ke darmiyan
dasht-o-sahra se main kya kya khar rakhta hun magar
sans phuli ja rahi hai kakh-o-ku ke darmiyan


khamushi aur shor-e-la-yani hai mabain-e-kalam
guftugu hoti hai chup aur hao-hu ke darmiyan
jaan shakh-e-dil kahan la paegi ab barg-o-bar
ghat mein hai dushman-e-jaani numu ke darmiyan


14484 viewsghazalEnglish