rangon ki wahshaton ka tamasha thi baam-e-sham

By muneer-niyaziNovember 9, 2020
rangon ki wahshaton ka tamasha thi baam-e-sham
tari tha har makan pe jalal-e-dawam-e-sham
guldasta-e-jihat tha nairang-e-rah-e-ishq
tha ek tilism-e-husn-e-khayaban-e-dam-e-sham


aage ki manzilon ki taraf sham ka safar
jaise shabon ke dil mein tha shahr-e-qayam-e-sham
bandhe hue hain waqt sabhi us ke hukm mein
hai jis khuda ke hath mein kar-e-nizam-e-sham


dhundla gai hai sham shab-e-kham se 'munir'
khali hua kashish ki sharabon se jam-e-sham
34318 viewsghazalEnglish