rida-e-sang oDh kar na so gaya ho kanch bhi

By tanveer-monisNovember 23, 2020
rida-e-sang odh kar na so gaya ho kanch bhi
harim-e-zakhm lazmi hai khair-o-shar ki jaanch bhi
gae baras ki rakh jis ko dan ki thi aa gaya
isi nadi se ghusl kar ke do-hazar-panch bhi


muhaware ki ru se jaanchiye to wo sarab hai
main sanch bhi nahin nahin hai is badan ki aanch bhi
bharam zara sa mastiyon ka rakh ki hum hain ghat mein
ghazal-e-mast chashm ho idhar ko ek qalanch bhi


27933 viewsghazalEnglish