ro rahi hai jis tarah ye shama parwane ke baad

ro rahi hai jis tarah ye shama parwane ke baad
aap bhi roenge mujh ko mere mar jaane ke baad

gar nahin milti sharab-e-nab aansu hi sahi
kuchh to pina chahiye furqat mein gham khane ke baad

rashk-e-jannat ban gaya tha aap ke aane se ghar
ho gaya dozakh se bad-tar phir chale jaane ke baad

kya khabar hum bad-nasibon ko hai kya shai-e-bahaar
hum ne to gulshan ko dekha hai ujad jaane ke baad

kya bataen tujh ko waiz mai-kashi ke hum maze
aap ho jaenge malum ek paimane ke baad

raegan hone na do ai 'shauq' tum waqt-e-aziz
ye wo shai hai jo nahin milti hai kho jaane ke baad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close