roz dohraenge jab sham-o-sahar ki tariKH

roz dohraenge jab sham-o-sahar ki tarikh
kaise badlegi bhala aap ke ghar ki tarikh

un fazaon mein koi badh ke dikhae to kamal
khud-ba-khud hogi raqam bazu-e-par ki tarikh

apne bachchon ko na den pae kabhi koi khushi
sirf hum likhte rahe apne hunar ki tarikh

lutne wale kabhi lut na paenge mujhe
main bata dunga agar rakht-e-safar ki tarikh

apni tarikh pe is darja bharosa hain hamein
hum na dekhenge idhar aur udhar ki tarikh

lakh be-yar-o-madadgar phire sahil par
qaid rahti hai sadaf mein hi guhar ki tarikh

'mir'-o-'ghaalib' jinhen kahta hai zamana 'shahid'
un ke har sher mein hai fikr-o-nazar ki tarikh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close