saba banate hain ghuncha-dahan banate hain
By amir-hamza-saqibOctober 24, 2020
saba banate hain ghuncha-dahan banate hain
tumhaare waste kya kya sukhan banate hain
sinan o tir ki lazzat lahu mein ram kare hai
hum apne aap ko kis ka hiran banate hain
ye dhaj khilati hai kya gul zara pata to chale
ki khak-e-pa ko teri pairahan banate hain
wo gul-izar idhar aaega sau daghon se
hum apne sine ko rashk-e-chaman banate hain
shahid-e-naz ghazab ke hunar-waran nikle
lahu ke chhinton se apna kafan banate hain
tumhaari zat hawala hai surkh-rui ka
tumhaare zikr ko sab shart-e-fan banate hain

77073 viewsghazal • English