sach kahte ho ek kahani kis kis se dohraoge
By syed-mohammad-ahmad-naqviFebruary 7, 2022
sach kahte ho ek kahani kis kis se dohraoge
jab bhi mera nam sunoge na-waqif ban jaoge
ret ke ghar se khelo jab bhi tutega ban jaega
dil se na khelo tut gaya to tum bhi khel na paoge
tum to khud bhi shisha nikle tum se kya ummid karen
hum samjhe the parbat parbat tum patthar pighlaoge
chadhta suraj ghatte ghatte maghrib mein kho jata hai
is nagri ki rit yahi hai tum bhi thokar khaoge
aankhon ki basti ne tum ko shabnam nam se jaana tha
kis ko khabar thi dil nagri mein tum patthar kahlaoge
phulon se zakhmi hain ruhen ab jismon ki bari hai
pathrai hain aas mein aankhen kab patthar barsaoge
'naqwi' ghum rahi hai dharti tum bhi apna kaam karo
yaadon ke gumbad mein aakhir kab tak ji bahlaoge

86391 viewsghazal • English