sahar be-sabaati ko hum kam na samjhe

'sahar' be-sabaati ko hum kam na samjhe
khushi ko khushi gham ko hum gham na samjhe

junun ke taqaze khirad ke ishaare
kabhi tum na samjhe kabhi hum na samjhe

tujhe hum masiha-nafas dar-haqiqat
na samjhe agar ibn-e-mariyam na samjhe

mohabbat ka aalam khudai ka aalam
na samjhe agar tum ye aalam na samjhe

'sahar' us se phir koi kyon kar nibahe
jo ahd-e-mohabbat ko mohkam na samjhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close