sail-e-girya ka sine se rishta bahut

sail-e-girya ka sine se rishta bahut
yani hain is kharabe mein dariya bahut

main ne us nam se sham rangin ki
main ne us ke hawale se socha bahut

dekhne ke liye sara aalam bhi kam
chahne ke liye ek chehra bahut

is se aage to bas khwab hi khwab the
main ne us ko mujhe us ne dekha bahut

main bhi uljha hun manzar ke nairang se
mere pairon se lipti hai duniya bahut

raftagan ke qadam jaise aahu ka ram
jaane walon ko raston ne roka bahut

jang-ju marakon mein hue surkh-ru
bastiyan bain karti hain tanha bahut


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close