sair-e-bahaar-e-husn hi ankhiyon ka kaam jaan dil kun sharab-e-shauq ka saghar mudam jaan tarz-e-nigah-e-ijz yahi arz-e-haal hai ai ramz-dan haman ke ankhiyon ka kalam jaan ruswa karenge tujh kun jagat mein nihaal-e-ashk anjhuwan kun dasht aur saf-e-mizhgan ko sham jaan teri gali mein dida o dil farsh-e-rah hain aahista tuk qadam kun rakh ai khush-khiram jaan wahdat mein be-khudi ka ibaadat hua hai nam mai-khane kun adab seti bait-ul-haram jaan tegh-e-ajal sun kis ka salamat raha hai jiw shokhi sin jab nigah karen qatl-e-am jaan us kun sharaf hai jis ki karen bandagi qubul jo 'abru' talab hain so apna ghulam jaan