samajh ghar yar ka main shah-nashin-e-dil ko dhota hun

samajh ghar yar ka main shah-nashin-e-dil ko dhota hun
kahen hain log diwane ki diwana hun rota hun

bujhae ashk ye khun ke jo fawware uchhalte hain
mizha se yar ke le nashtar aankhon mein chubhota hun

madad ai khizr-e-girya gharq kariyo naw-e-dil aaj hi
ye hai dubwane wala main ise pahle dubota hun

but-e-sangin dil ki dekh taswir aankhen pathrain
thithuk hun naqsh-e-qalin sa na rota hun na sota hun

main ku-e-maikashan-o-mahwashan ke muttasil pahuncha
khabar-dar ai harifo ab hawas-o-hosh khota hun

mabaada mere gul-ru ka gul-e-rukhsar murjhawe
phuwar ai 'azfari' de aansuon ki main bhigota hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close