sanp sa leTa hua sunsan rasta samne tha

By rafiq-raazNovember 13, 2020
sanp sa leta hua sunsan rasta samne tha
khatra aaghaz-e-safar mein ek aisa samne tha
dasht mein ghamsan ka wo ran pada tha kuchh na puchho
dhup meri pusht par thi aur saya samne tha


ab to un aankhon ke aage aaina hai aur main hun
hae mizhgan kholne se pahle kya kya samne tha
buzdil aise the bhigo pae na apne hath tak hum
donon bazu the salamat aur dariya samne tha


main masafat ki tarah tha bich mein simta hua sa
pusht ki jaanib samundar aur sahra samne tha
wasl ke khwabon mein ab wo raushni baqi nahin thi
hijr ki raaton mein sone ka natija samne tha


25633 viewsghazalEnglish