sanson ki jal-tarang par naghma-e-ishq gae ja
By ganesh-bihari-tarzOctober 30, 2020
sanson ki jal-tarang par naghma-e-ishq gae ja
ai meri jaan-e-arzu tu yunhi muskurae ja
husn-e-khiram-e-naz se jadu nae jagae ja
jab bhi jahan paden qadam phul wahin khilae ja
aag laga ke hans kabhi ban ke ghata baras kabhi
bikhra ke zulf-e-ambarin hosh mere udae ja
barson ke baad aankhon mein chhalki hai pyar ki sharab
band na kar ye mai-kade aise hi bas pilae ja
masti bhi hai saman bhi hai mahfil-e-dilbaran bhi hai
aise mein 'tarz' jhum kar rang-e-ghazal jamae ja

36925 viewsghazal • English