sar mein jab ishq ka sauda na raha

By nasir-kazmiNovember 11, 2020
sar mein jab ishq ka sauda na raha
kya kahen zist mein kya kya na raha
ab to duniya bhi wo duniya na rahi
ab tera dhyan bhi utna na raha


qissa-e-shauq sunaun kis ko
raazdari ka zamana na raha
zindagi jis ki tamanna mein kati
wo mere haal se begana raha


dere dale hain khizan ne chau-des
gul to gul bagh mein kanta na raha
din dahade ye lahu ki holi
khalq ko khauf khuda ka na raha


ab to so jao sitam ke maro
aasman par koi tara na raha
31048 viewsghazalEnglish