sarmaya-e-nashat-e-tamanna liye hue

By dr.-ahmar-rifaiDecember 31, 2021
sarmaya-e-nashat-e-tamanna liye hue
baitha hun dil mein dard ki duniya liye hue
dil ko malal-e-hasrat-e-didar hi raha
sadha nuqush-e-chehra-e-zeba liye hue


mayusiyon mein dub gaya dil hazar-haif
ek kaif-e-mustaar-e-tamanna liye hue
achchhi nibhi kisi se rah-o-rasm-e-dosti
sad-hila-hae ranjish-e-beja liye hue


aankhon mein khun-e-hasrat-e-didar-e-yar hai
rang-e-jamal chehra-e-zeba liye hue
tai ho gaya hai marhala-e-qurb-o-infisal
nazuk sa ek wada-e-farda liye hue


hai aaj bhi labon pe wahi iltija-e-khas
muhr-e-sukut-e-husn-e-taqaza liye hue
hirman-o-yas-o-hasrat-o-nakaami-e-mudam
ye ek jaan-e-zar hai kya kya liye hue


'ahmar' kise khabar thi ki uth aaenge yunhi
mahfil se un ki un ki tamanna liye hue
64366 viewsghazalEnglish