sath-biin the sab, rahe bahar ki kai dekhte

By riaz-majeedNovember 14, 2020
sath-biin the sab
rahe bahar ki kai dekhte
log kaise mere andar ki safai dekhte
us se milne ka nishan tak bhi nazar aata nahin


ek muddat ho gai rah-e-judai dekhte
hum to apni wusat-e-dil se bhi koson dur the
tere dil tak kis tarah apni rasai dekhte
aap hi thak-haar kar apne ko behis kar liya


zindagi kab tak teri be-e'tinai dekhte
yun na kho jate faza-e-yas mein duniya ke sath
kash apna hi lab-o-lahja rajai dekhte
dil ki majburi se badh kar koi majburi na thi


hum bhi kuchh karte agar khud se rihai dekhte
kash dharti par gira khun rang le aata 'riyaz'
jite-ji hum apni faslon ki katai dekhte
78848 viewsghazalEnglish