sath sae ki tarah wahshat mein uryani hui

sath sae ki tarah wahshat mein uryani hui
mujh se diwane ke pichhe ye bhi diwani hui

sadqe un ki zulf ke meri pareshani hui
main to diwana tha ye bhi aaj diwani hui

un ke aanchal mein ada ban kar qayamat chhup chuki
wo meri jaani hui wo meri pahchani hui

kis ke jalwe ne nigah-e-shauq par dala asar
tur ke daman mein achchhi barq jaulani hui

ab jo khul-khelen ye joban koi is ko kya kare
parde parde mein bahut un ki nigahbani hui

mante hain wo mujhe ye ghair ko taslim hai
man lete hain meri ye baat hai mani hui

ghair hi ke ho rahen ab kya rafu karte hain wo
chaak-damani se un ki chaak-damani hui

qaht tha kitne maze ka husn-e-arzan bik gaya
is girani mein maze aae wo arzani hui

zulf-o-rukh ne mara tara dida-o-dil kya kahen
kis ko hairani hui kis ko pareshani hui

zamzami mein jam-e-mai mein gir gaya pani siwa
thi meri qismat mein jaisi aaj sab pani hui

wada dushman se na tha to hashr mein sharmae kyun
is tarah wo chup hain goya baat hai mani hui

dekh kar sabza meri turbat ka badli waz-e-jaur
aasmani aap ki poshak kyun dhani hui

dher hain kitne yahan baam-e-hasinan se buland
jins-e-dil uthti nahin itni farawani hui

pak-saf aisi hai jis ne pi farishta ban gaya
zahido ye hur ke daman mein hai chhani hui

band tute maski mahram rang uda joban luta
ghair ke ghar ja ke un ki khub mehmani hui

aaen jaenge adu hum tod kar baithenge panw
aap ne darban banaya hum se darbani hui

shakl kya khinchti meri main gard-baad-e-dasht tha
gard taswir-e-junun se sanat-e-mani hui

pite hi duniya ke jhagdon se hue be-fikr hum
kis qadar dushwariyan thin kitni aasani hui

daman-e-gulchin mein bhi kuchh phul barsae 'riyaz'
kahiye kuchh us ki zamin mein bhi gul-afshani hui


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close