sawad-e-shauq-o-talab gham ka bab aisa tha

By ali-wijdanOctober 24, 2020
sawad-e-shauq-o-talab gham ka bab aisa tha
jala ke khak kiya iztirab aisa tha
bahut hi talkh tha yani sharab aisa tha
sawal yaad nahin hai jawab aisa tha


tamazaton ne gham-e-hijr ki ujad diya
badan tha phul sa chehra kitab aisa tha
main kanp kanp gaya hun ba-name--sud-o-ziyan
shumar-e-zakhm-e-hunar ka jawab aisa tha


sulag rahe the mere hont jal raha tha badan
zaban se kuchh na kaha tha hijab aisa tha
meri talab hi bani mere panw ki zanjir
bhatak raha hun main ab tak sarab aisa tha


jhulas ke rah gaya chehra tamam khwabon ka
khumar-e-tishna-labi ka azab aisa tha
wo ahd-e-gumrahi kahta hai us ki marzi hai
jo dekh le tu tadap jae khwab aisa tha


bahut hi zoam tha apni mohabbaton pe use
nibha saka na wafa kaamyab aisa tha
rafaqaton ka fusun tutna hi tha 'wijdan'
safar mein chhod gaya hai kharab aisa tha


30894 viewsghazalEnglish