shaeri kawish-e-paiham ke siwa kuchh bhi nahin aur is kawish-e-paiham ka sila kuchh bhi nahin zar-paraston ko to ab khauf-e-khuda kuchh bhi nahin pas-e-din pas-e-adab pas-e-wafa kuchh bhi nahin roz-o-shab aatish-e-jazbaat mein jalte rahna aashiqi soz-e-musalsal ke siwa kuchh bhi nahin kaun ye ruh ko aawaz diye jata hai hama-tan-gosh hun main aur sada kuchh bhi nahin aap bhi hon mere hamrah to kuchh baat bane warna in chandni raaton ka maza kuchh bhi nahin zindagi hi mein gunahon ki saza milti hai hashr kuchh chiz nahin roz-e-jaza kuchh bhi nahin daur-e-hazir ki shariat mein rawa hai sab kuchh narawa kuchh bhi nahin aur bura kuchh bhi nahin kya kaha waqt-e-musibat koi kaam aaega aap ko fitrat-e-insan ka pata kuchh bhi nahin aazmaya hai bahut apnon ko beganon ko mujh ko ab ahl-e-zamana se gila kuchh bhi nahin gham mila ranj mila tum ko mohabbat mein 'bahaar' phir bhi kahte ho mohabbat mein dhara kuchh bhi nahin