sham ka intizar karta hun main andhere se pyar karta hun meri manhus baat mat talo ghafilo hoshiyar karta hun ro ke dam le ke phir se ro dena bas yahi bar bar karta hun raat bhar hans ke raat tak roun jo karun be-shumar karta hun tere dil ko qarar hai kab se aa idhar be-qarar karta hun bewafai ko rakkho ek taraf ishq main shandar karta hun ye jo 'maghlub' tera ghar hai na aaj is ko mazar karta hun