sharmae yun ashk nikal ke

sharmae yun ashk nikal ke
jaise kisi ka aanchal dhalke

dekh liya saqi ne hans ke
chhalke wo paimane chhalke

meri un ki rah mein duniya
aksar aai bhes badal ke

apni nigah-e-naz se puchho
kyon meri aankh se aansu chhalke

un aankhon mein aansu jaise
pani mein do phul kanwal ke

jab bhi dekha un ka daman
aankh mein rah gae ashk machal ke

husn ki ashk-aluda aankhen
jaise katore ganga-jal ke

dekhen rah-e-ishq mein 'zakhmi'
kya hota hai aage chal ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close