sirf ek hadd-e-nazar ko aasman samjha tha main
By chandrabhan-khayalOctober 29, 2020
sirf ek hadd-e-nazar ko aasman samjha tha main
aasmanon ki haqiqat ko kahan samjha tha main
khud mila aur mil ke wo apna pata bhi de gaya
jabki sari kawishon ko raegan samjha tha main
zindagi ka rang pahchana gaya jine ke baad
dur se us rang ko udta dhuan samjha tha main
mehrbanon se hamesha hi rahe shikwe gale
aur har na-mehrban ko mehrban samjha tha main
de raha tha wo sadaen aur main khamosh tha
kashmakash ki us ghadi ko imtihan samjha tha main
ho gaya hun qatl be-rahmi se un ke samne
haif jin logon ko apna pasban samjha tha main
pas se dekha to jaana kis qadar maghmum hain
an-ginat chehre ki jin ko shadman samjha tha main

83596 viewsghazal • English