sitare TuT kar kyon gir rahe hain su-e-mai-KHana
By shifa-gwaliariFebruary 6, 2022
sitare tut kar kyon gir rahe hain su-e-mai-khana
khuda malum kis mai-kash ka chhalka aaj paimana
zamana roz dohraata hai parwane ka afsana
magar sikha na koi aaj tak isar-e-parwana
bacha gardish se mai-khane ko ai saqi-e-mai-khana
kisi ki chashm-e-tar tak aa chala hai khushk paimana
khudara hashr ka ilzam apne sar na lo dekho
mujhe kahne do tum kyon kah rahi ho mera afsana
bas itni si tamanna jaan-e-takmil-e-tamanna hai
wo apne munh se ye kah den wo aaya mera diwana
ba-ain-e-haqiqat khun-e-nahaq rang lata hai
utar aai hai har ek shama mein taswir-e-parwana
pareshan gul se giryan shama se larzan sitaron se
jahan se chaho tum tartib de lo mera afsana
ba-rang-e-nau abhi ye sari be-rangi badalti hai
agar tewar badal kar uth khada ho ek diwana
'shifa' husn-e-samaat ho to kuchh mushkil nahin sunna
na kahne par bhi sara raaz kah jata hai diwana

60260 viewsghazal • English