sulagti ret pe aankhen bhi zer-e-pa rakhna

By kishwar-naheedNovember 14, 2020
sulagti ret pe aankhen bhi zer-e-pa rakhna
nahin hai sahl hawa se muqabla rakhna
use ye zom ki aaghosh-e-gul bhi us ki hai
jo chahta hai parindon ko be-nawa rakhna


subuk na ho ye nigah-dari-e-junun hum se
ye dekhne ko use samne bitha rakhna
bikhar na jaana jarahat-nawazi-e-shab par
masham-e-jaan ko abhi khwab aashna rakhna


wo fursaten ki jinhen aahaton ki khwahish ho
unhen jaras ki tamanna se ma-siwa rakhna
tamam manzar-e-jaan us ki khwahishon se bana
wo khwab hai to use khwab mein saja rakhna


udasiyon ko to aangan hi chahiye khali
chhaton pe chandni raaton ka silsila rakhna
wo jab bhi aaya bahut tez barishon jaisa
wo jis ne chaha mujhe surmai ghata rakhna


bas ek charagh masafat ka bojh sah lega
sukhan ke bich talabgari-e-wafa rakhna
20295 viewsghazalEnglish