surkh mausam ki kahani hai purani ho na ho aasman ka rang aage aasmani ho na ho khwab mein mujh ko nazar aati hain bhigi sipiyan aankh khulne par teri aankhon mein pani ho na ho sath hoti hai mere har gam par sanjidgi ho rahi hai dur ab mujh se jawani ho na ho har jagah niklegi teri baat mujh ko dekh kar tazkira tera kahin meri zabani ho na ho raushni dete rahenge mujh ko zakhmon ke charag ab andhere mein kahin se zau-fishani ho na ho ek taraf meri ana hai ek taraf teri khushi aa gaya mere liye pal imtihani ho na ho zahr ka pani mein hona tai-shuda hai 'ehtiram' aagahi ke ghat par dariya mein pani ho na ho